Tuesday, October 25, 2011

Jungli darkhto ke darmiyan ek

Jungli darkhto ke darmiyan ek seb ke ped ke saman (2)
Nazar ata hai mujhe ai masih (2) sare santo ke beech me tu (2)
Hamd karu me teri e prabhu apne jeevan bhar is jangal ke safar me
Gaoon shukra gujari se me (2)

Tu hi hai nargis aj sharon ka, han tu sosan bhi vadiyo ka (2)
Santon me tu hai ati pavitra (2) Kese kamil aur shan se bhara (2)
Hamd karu me teri e prabhu apne jeevan bhar is jangal ke safar me
Gaoon shukra gujari se me (2)

Itra ke jaisa hai tera nam khushbu failata hai jahan me (2)
Tangi musibat aur badnami me (2) Bana khushbudar tere saman (2)
Hamd kaur me teri ei prabhu apne jeevan bhar is jangal ke safar me (2)
Gaoon shukra gujari se me (2)

Ghabrahat ki laharo se gar, dukh musibat ke sagar me (2)

Apne joravar hath ko badha (2) Mujhe apne seene se laga (2)
Hamd karu me teri e prabhu apne jeevan bhar is jangal ke safar me
Gaoon shukra gujari se me (2)

Abhi aa raha hu tere pas puri karne ko teri marji (2)
Taki de du me kam ko anjam (2) Paaum tere didar me inam (2)
Hamd karu me teri e prabhu apne jeevan bhar is jangal ke safar me
Gaoon shukra gujari se me (2)

No comments:

Post a Comment

God Of Calvary

Intro Verse 1 On the hill of Calvary the light of all the world With the world on His ...